28.
tere hote
huye mahafil me.n jalate hai.n chiraaG
log kyaa
saadaa hai.n suuraj ko dikhaate hai.n chiraaG
apanii
maharuumiyo.n pe sharmi.ndaa hai.n
Khud nahii.n
rakhate to auro.n ke bujhaate hai.n chiraaG
bastiyaa.N
chaa.Nd sitaaro.n pe basaane vaale
kurraa-e-arz
bujhaate jaate hai.n chiraaG
kyaa Khabar
hai un ko ke daaman bhii bha.Dak uThate hai.n
jo zamaane
kii havaao.n se bachaate hai.n chiraaG
aisii
taariikiiyaa.N aa.Nkho.n me.n basii hai.n "Faraz"
raat to
raat ham din ko jalaate hai.n chiraaG
29.
zaKhm
ko phuul to sar, sar ko sabaa kahate hai.n
jaane
kyaa daur hai kyaa log hai.n kyaa kahate hai.n
kyaa qayaamat
hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahii
log hame.n aabalaapaa kahate hai.n
koii batalaao
ke ik umr kaa bichha.Daa mahabuub
ittafaaqan
kahii.n mil jaae to kyaa kahate hai.n
ye bhii
a.ndaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii
Gamazaa-o-ishvaah-o-a.ndaaz-o-adaa
kahate hai.n
jab talak
duur hai tuu terii parastish kar le.n
ham jise
chhuu na sake.n us ko Khudaa kahate hai.n
kyaa ta'ajjub
hai ke ham ahl-e-tamannaa ko "Faraaz"
vo jo
maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hai.n
Page |
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 |