11.

 

ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n

jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n

 

 

Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii

ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n

 

 

[uja.De = desolated, ruined; Kharaab = bad]

 

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa

dono insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n

 

 

[hijaab - veil, here it means barrier]

 

ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',

jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n

 

 

[maazii = past; saraab - illusion, mirage]

 

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo

nashaa ba.Dataa hai sharabii.n jo sharaabo.n me.n mile.n

 

 

aaj ham daar pe khe.nche gae jin baato.n par

kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n

 

12.

 

dil bhii bujhaa ho, shaam kii parachhaa_iiyaa.N bhii ho.n

mar jaa_iiye jo aise me.n tanhaa_iiyaa.N bhii ho.n

 

 

aa.Nkho.n kii surKh lahar hai mauj-e-suparadagii

yeh kiyaa zaroor hai ke ab angRaiyaa.N bhii ho.n

 

 

har husn-e-saadaa lau na dil me.n utar sakaa

kuchh to mizaaj-e-yaar me.n gaharaa_iiyaa.N bhii ho.n

 

 

duniyaa ke tazakire to tabiyat hii le bujhai

baat us kii ho to phir suKhan aaraa_iiyaa.N bhii ho.n

 

 

pahale pahal kaa ishq abhii yaad hai "Faraz"

dil Khud ye chaahataa hai ke rusvaa_iiyaa.N bhii ho.n

 

Page
1 2 3 4 5 6 7 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28