18.
jis simt
bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
ae jaan-e-jahaa.N
ye koii tum saa hai ke tum ho
ye Khvaab
hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai
ye dhu.Nd
hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
is diid
kii sa_aat me.n kaii ra.ng hai.n larazaa.N
mai.n
huu.N ke koii aur hai duniyaa hai ke tum ho
dekho
ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii
dekhuu.N
ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho
ye umr-e-gurezaa.N
kahii.n Thahare to ye jaanuu.N
har saa.Ns
me.n mujhako ye lagataa hai ke tum ho
har bazm
me.n mauzuu-e-suKhan dil zadagaa.N kaa
ab kaun
hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho
ik dard
kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N
ik mauj
me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho
vo vaqt
na aae ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar
me.n tanhaa koii ham saa hai ke tum ho
aabaad
ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal
ye rasm
abhii shahar me.n zi.ndaa hai ke tum ho
ae jaan-e-'Faraz'
itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko
Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
19.
kahaa
thaa kis ne ke ahd-e-vafaa karo us se
jo yuu.N
kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se
ye ahl-e-baz,
tunak hausalaa sahii phir bhii
zaraa
fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se
ye kyaa
ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhii
to us ke bahaane sunaa karo us se
nasiib
phir koii taqriib-e-qarb ho ke na ho
jo dil
me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se
"Faraz"
tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii
bahut hai ke kam kam milaa karo us se
Page |
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 |