07.

 

ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun

zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun

 

dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge

jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun

 

vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai

log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun

 

[maharuum = deprived; shajar = tree]

 

ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa

raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun

 

[chiraaG-e-shab = night lamp]

 

aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko

shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun

 

[fasiil-e-shahar = city wall/boundary; Ganiim-e-shahar = city's enemy]

 

 

 

 

08.

 

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa

tum bhii auro.n kii tarah mujhase judaa ho jaanaa

 

 

mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n

tum bhii paabastaa-e-za.njiir-e-hiinaa ho jaanaa

 

 

Khalq kii sa.ngazanii merii Khataao.n kaa silaa

tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

 

 

ab mere vaaste tariyaq hai ilahaad kaa zahar

tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

 

Page
1 2 3 4 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28