22.

 

ra.njish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa

aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

 

 

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to

rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

 

 

kis kis ko bataaye.nge judaaii kaa sabab ham

tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa

 

 

kuchh to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh

tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

 

 

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum

aye raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa

 

 

ab tak dil-e-Khush_feham ko tujh se hai.n ummiide.n

ye aaKharii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa

 

 

The following ashaar are by Talib Baghpati but have been sung as part of this Gazal.

 

 

maanaa ki mohabbat kaa chhipaanaa hai mohabbat

chupake se kisii roz jataane ke liye aa

 

 

jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane

aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

 

Page
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28