42.
mu.ntazir
kab se tahayyur hai terii taqariir kaa
baat kar
tujh par gumaa.N hone lagaa tasviir kaa
[mu.ntazir
= waiting; tahayyur = amazement; taqariir = speech]
raat kyaa
soye ki baaqii umr kii nii.nd u.D ga_ii
Khvaab
kyaa dekhaa ki dha.Dakaa lag gayaa taabiir kaa
[taabiir
= reality] jaane tuu kis aalam me.n bichha.Daa hai ki tere baGair
aaj tak
har lafz fariyaadii merii tahariir kaa
[tahariir
= writing]
jis tarah
baadal kaa saayaa pyaas bha.Dakaataa rahe
mai.n
ne vo aalam bhii dekhaa hai terii tasviir kaa
kis tarah
paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa
mu.nkir bhii to qaayal ho gayaa taqadiir kaa
[mu.nkir
= atheist; qaayal honaa = to be a fan/follower]
ishq me.n
sar pho.Danaa bhii kyaa ke ye be-meher log
juu-e-Khuu.N
ko naam dete hai.n juu-e-shiir kaa
jis ko
bhii chaahaa use shiddat se chaahaa hai "Faraz"
sil-silaa
TuuTaa nahii.n dard kii za.njiir kaa
43.
i.nhii.n
Khush-gumaaniyo.n me.n kahii.n jaa.N se bhii na jaao
vo jo
chaaraagar nahii.n hai use zaKhm kyuu.N dhikhaao
ye udaasiyo.n
ke mausam kahii.n raayegaa.N na jaaye.N
kisii
zaKhm ko kuredo kisii dard ko jagaao
vo kahaaniyaa.N
adhuurii jo na ho sake.ngii puurii
u.nhe.n
mai.n bhii kyuu.N sunaauu.N u.nhe.n tum bhii kyuu.N sunaao
mere ham-safar
puraane mere aab bhii mu.ntazir hai.n
tumhe.n
saath chho.Danaa hai to abhii se chho.D jaao
ye judaa_iiyo.n
ke raste ba.Dii duur tak gaye hai.n
jo gayaa
vo phir na lauTaa merii baat maan jaao
kisii
bevafaa kii Khaatir ye junuu.N "Faraz" kab tak
jo tumhe.n
bhulaa chukaa hai use tum bhii bhuul jaao
Page |
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 25 26 27 28 |