32.

 

vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa

agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa

maqaam-e-suud-o-ziyaa aa gayaa hai phir jaanaa.N

ye zaKhm mere sahii tiir to uThaa le jaa

yahii hai qismat-e-saharaa yahii karam teraa

ki buu.Nd buu.Nd ataa kar ghaTaa ghaTaa le jaa

Guruur-e-dost se itanaa bhii dil-shikastaa na ho

phir uTh ke saamane daaman-e-iltajaa le jaa

nadaamate.n ho.n to sar baar-e-dosh hotaa hai

"Faraz" jaa.N ke evaz aabaruu bachaa le jaa

 

 

 

 

 

33.

 

ta.Dap uThuu.N bhii to zaalim terii duhaa_ii na duu.N

mai.n zaKhm zaKhm huu.N phir bhii tujhe dikhaa_ii na duu.N

tere badan me.n dha.Dakane lagaa huu.N dil kii tarah

ye aur baat ke ab bhii tujhe sunaa_ii na duu.N

Khud apane aap ko parakhaa to ye nadaamat hai

ke ab kabhii use ilzaam-e-bevafaa_ii na duu.N

[nadaamat = regret/shame]

mujhe bhii Dhuu.NDh kabhii mahv-e-aa_iinaa-daarii

mai.n teraa aqs huu.N lekin tujhe dikhaa_ii na duu.N

[mahv = immersed in; aqs = reflection]

 

 

Page
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 20 21 22 23 24 25 26 27 28