26.

 

us ne sukuut-e-shab me.n bhii apanaa payaam rakh diyaa

hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa me.n aam thii

mai.ne bhii ik chiraaG saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the, dekho ye mere zaKhm hai.n

mai.n ne to sab hisaab-e-jaa.N barasar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar me.n hii aise bhale suKhan kahe

mai.n ne to us ke paa.No.n me.n saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tashnagii me.n bhii Gairat-e-maikashii rahii

us ne jo pher lii nazar mai.n ne bhii jaam rakh diya

aur "Faraz" chaahiiye kitanii mohabbate.n tujhe

ke maao.N ne tere naam par bachcho.n ka naam rakh diyaa

 

 

 

 

 

27.

 

ye aalam shauq kaa dekhaa na jaae

vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaae

ye kin nazaro.n se tum ne aaj dekhaa

ke teraa dekhanaa dekha naa jaae

hameshaa ke liye mujh se bichha.D jaa

ye ma.nzar baarahaa dekhaa na jaae

galat hai jo sunaa, par aazamaa kar

tujhe ai baa-vafaa dekhaa na jaae

ye maharuum hii nahii.n, paas-e-vafaa hai

koii tere sivaa dekhaa na jaae

"Faraz" apane sivaa hai kaun teraa

tujhe tujhase judaa dekhaa na jaae

 

 

Page
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28