44.
havaa
ke zor se pi.ndaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
chiraaG
ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa
pukaarate
rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale
mai.n
Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa
ab ehatiyaat
kii diivaar kyaa uThaate ho
jo chor
dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa
mai.n
chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii
ko_ii
to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa
sulagate
sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah
ka.Daa
thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa
jise bhulaa
na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam
dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa
phaTii-phaTii
hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe
tujhe
talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa
magar
falak koo adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N
"Faraz" na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa
45.
sakuut-e-shaam-e-Khizaa.N
hai qariib aa jaao
ba.Daa
udaas samaa.N hai qariib aa jaao
na tum
ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaa.N
hai qariib aa jaao
raah-e-talab
me.n kisii ko dhyaan nahii.n
hujuum-e-hamasafaraa.N
hai qariib aa jaao
jo dasht-e-ishq
me.n bichha.De.n vo umr bhar na mile
yahaa.N
yahaa.N dhuaa.N hii dhuaa.N hai qariib aa jaao
ye aa.Ndhiyaa.N
hai.n to shahar-e-vafaa kii Khair nahii.n
zamaanaa
Khaak-fashaa.N hai qariib aa jaao
faaqih-e-shahar
kii majalis nahii.n ke duur raho
ye bazm-e-piir-e-maGaa.N
hai qariib aa jaao
"Faraz"
duur ke suuraj Garuub samajhe gaye
ye daur-e-kamanazaaraa
hai qarib aa jaao
Page |
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 26 27 28 |