03.
payaam
aaye hai.n us yaar-e-bevafaa ke mujhe
jise qaraar
na aayaa kahii.n bhulaa ke mujhe
nashe
se kahuu.N to nahii.n yaad-e-yaar kaa aalam
ke le
u.Daa hai ko_ii dosh par havaa ke mujhe
judaa_iiyaa.N
ho.n to aisii ki umr bhar na mile
fareb
to do zaraa sil-sile ba.Daa ke mujhe
mai.n
Khud ko bhuul chukaa tha magar jahaa.N vaale
udaas
chho.D gaye aa_iinaa dikhaake mujhe
04.
muttafaavate.n
hai.n mere Khudaa ki ye tuu nahii.n koii aur hai
ki tuu
aasamaan pe ho to ho pisar-e-zamii.n koii aur hai
[muttafaavate.n
= ; pisar = son]
vo jo
raaste the vafaa ke the ye jo ma.nzile.n hai.n sazaa kii hai.n
meraa
hamasafar koii aur thaa meraa hamanashii.n koii aur hai
mere jism-o-jaa.N
me.n tere sivaa aur koii bhii duusaraa
mujhe
phir bhii lagataa hai is tarah ki kahii.n kahii.n koii aur hai
mai.n
asiir apane gazaal kaa mai.n faqiir dasht-e-visaal kaa
jo hiran
ko baa.Ndh ke le gayaa vo subuk-tagii.n koii aur hai
[asiir
= prisoner; gazaal = deer; subuk-tagii.n = name of emperor]
Page |
1 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 |