23.

 

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai

ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai

 

 

mile koii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n

ke jaise saaraa jahaa.N raazadaar apanaa hai

 

 

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal

vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai

 

 

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se

is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai

 

 

"Faraz" raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije

vo jis ke haath se siinaa fiGaar apanaa hai

 

 

 

 

 

 

24.

 

sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaae.n mujhe na do

mai.n kab kaa jaa chukaa huu.N sadaae.n mujhe na do

jo zahar pii chukaa huu.N tumhii.n ne mujhe diyaa

ab tum to zi.ndagii kii duaae.n mujhe na do

aisaa kahii.n na ho ke palaTakar na aa sakuu.N

har baar duur jaa ke sadaae.n mujhe na do

kab mujhako aiteraaf-e-muhabbat na thaa "Faraaz"

kab mai.n ne ye kahaa thaa sazaae.n mujhe na do

 

25.

 

tum bhi Khafaa ho log bhii baraham hai.n dosto

ab ho chalaa yaqii.n ke bure ham hai.n dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n

aa.Nkhe.n to dushmano.n kii bhii pu-nam hai.n dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise

apanii talaash me.n to ham hii ham hai.n dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa

kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hai.n dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo

ab dil kii raunaqe.n bhii ko_ii dam hai.n dosto

sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai

duniyaa me.n aise log bahut kam hai.n dosto

 

Page
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28