20.
karuu.N
na yaad agar kis tarah bhulaauu.N use
Gazal
bahaanaa karuu.N aur gun-gunaauu.N use
vo Khaar-Khaar
hai ShaaKh-e-gulaab kii maani.nd
mai.n
zaKhm-zaKhm huu.N phir bhii gale lagaauu.N use
[Khaar
= thorn]
ye log
tazakare karate hai.n apane logo.n se
mai.n
kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laauu.N use
[tazakare
= narration/descrption]
magar
vo zuud faraamosh zuud ra.nj bhii hai
ke ruuTh
jaaye agar yaad kuchh dilaauu.N use
vahii
jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaa.N
tumhaarii
baat pe ai naasiho ga.Nvaauu.N use
jo ham-safar
sar-e-ma.nzil bichha.D rahaa hai 'Faraz'
ajab nahii.n
ki agar yaad bhii na aauu.N use
21.
qurbato.n
me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge
dil vo
be-mehar ki rone ke bahaane maa.Nge
apanaa
ye haal ke jii haar chuke, luT bhii chuke
aur muhabbat
vahii a.ndaaz puraane maa.Nge
ham na
hote to kisii aur ke charche hote
khalkat-e-shahar
to kahane ko fasaane maa.Nge
dil kisii
haal pe maane hii nahii.n jaan-e-Faraz
mil gaye
tum bhii to kyaa aur na jaane maa.Nge
Page |
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 |