11.
itanaa
to zi.ndagiii me.n kisii kii Khalal pa.De
ha.Nsane
se ho sukuun naa rone se kal pa.De
jis tarah
ha.Ns rahaa huu.N mai.n pii-pii ke ashk-e-Gam
yuu.N
duusaraa ha.Nse to kalejaa nikal pa.De
ek tum
ke tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai
ek ham
ke chal pa.De to baharahaal chal pa.De
[nasheb
= descent; faraaz = ascent]
muddat
ke baad us ne jo kii lutf kii nigaah
jii Khush
to ho gayaa magar aa.Nsuu nikal pa.De
saaqii
sabhii ko hai Gam-e-tashnaalabii magar
may hai
usii ke naam pe jis ke ubal pa.De
12.
dabaa
dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n
tuu apane
dil kii javaa.N dha.Dakano.n ko gin ke bataa
merii
tarah teraa dil beqaraar hai ki nahii.n
vo pal
ke jis me.n muhabbat javaan hotii hai
us ek
pal kaa tujhe i.ntazaar hai ki nahii.n
terii
ummiid pe Thukaraa rahaa huu.N duniyaa ko
tujhe
bhii apane pe ye aitabaar hai ki nahii.