KAIFI
AZMI-
01.
mere dil
me.n tuu hii tuu hai dil kii davaa kyaa karuu.N
dil bhii
tuu hai jaa.N bhii tuu hai tujhape fidaa kyaa karuu.N
Khud ko
khokar tujhako paa kar kyaa kyaa milaa kyaa kahuu.N
teraa
hoke jiine me.n kyaa kyaa aayaa mazaa kyaa kahuu.N
kaise
din hai.n kaisii raate.n kaisii fizaa kyaa kahuu.N
merii
hoke tuune mujhako kyaa kyaa diyaa kyaa kahuu.N
merii
pahaluu me.n jab tuu hai phir mai.n duaa kyaa karuu.N
dil bhii
tuu hai jaa.N bhii tuu hai tujhape fidaa kyaa karuu.N
hai ye
duniyaa dil kii duniyaa milake rahe.nge yahaa.N
luuTe.nge
ham Khushiyaa.N har pal dukh na sahe.nge yahaa.N
armaano.n
ke cha.nchal dhaare aise bahe.nge yahaa.N
ye to
sapano.n kii jannat hai sab hii kahe.nge yahaa.N
ye duniyaa
mere dil me.n basii hai dil se judaa kyaa karuu.N
dil bhii
tuu hai jaa.N bhii tuu hai tujhape fidaa kyaa karuu.N
02.
patthar
ke Khudaa vahaa.N bhii paaye
ham chaa.Nd
se aaj lauT aaye
diivaare.n
to har taraf kha.Dii hai.n
kyaa ho
gayaa meharabaa.N saaye
ja.ngal
kii havaae.N aa rahii hai.n
kaaGaz
kaa ye shehar u.D na jaaye
lailaa
ne nayaa janam liyaa hai
hai Qais
koii jo dil lagaaye
hai aaj
zamiin kaa gusal-e-sahat
jis dil
me.n ho jitanaa Khuun laaye
seharaa
seharaa lahuu ke Kheme
phir pyaase
lab-e-furaat aaye